Mujhe apse poochna hai
k kya ap ko pata hai
k ap ko kya pata hai
aur kya nahin pata.
Vaise to ap ko pata hi hai
k jo ap ko pata hai
wo mujhe nahin pata
aur jo mujhe pata hai
vo ap ko bhi pata hai.
Vaise to pate ki baat yeh hi hai
k jo nahin pata vo pata karo
aur jo auron ko nahin pata
unhein pata karvao.
Chalo ab chodo.
Pata hai agar pate ka pata karte rahe
to kya pata apna hi pata na bhool jaein.
Ab iss pate vali baat ko sab k pate pe bhejo
aur fir pata lagega
k kisi ko bhi kuch bhi pata nahin hai.
Unhe yeh pata na chale
k apko pata kisne bheja.
Asal mein ab to mujhe bhi nahin pata
k mera pata use kaise pata chala.
Sorry yaar mujhe nahin pata tha
k tum pata nahin karna chahte.
Vaise agar tumhein pata chal jae
to mujhe pata jaror dena.